The Seat Beside Me

--------------------------------------A ONE-WAY FEELING-------------------------------------------------------- Ghar jana kisko nahi pasand, aur khaas kar tab jab aap kuch time se apne aapko regressly ghis rahe ho… ek woh lamha hi toh hai jab aap ghar jayein aur aapki mummy… aur bas unke bahon mein simat jaane ka mann kare… bas yahi sochte-sochte hum pahunche subah-subah ghar aur kya paaya… MAA (thode gusse mein): "Aa gaye… itna late kaise hua?" Me : "Arey maa, haal-chal le lo yaarrrr………" MAA : "Jao taiyar ho jao, pooja 11 baje se hai. Tumhare haathon se hi hoga Rudrabhishek………" Sab log pooja ki taiyari mein lag gaye… mehmaan bhi aane lage ek-ek kar ke… Bua… Mausi… Aunty… Uncle… Bhanja… Bhanji… etc. etc. Papa? Nahi, unko leave nahi mila, so woh nahi aa paye… Saari taiyari ho chuki thi, Pandit ji bas bahut late aaye the, around 4 PM. Aur pooja khatam hua 11 baje raat ko… Ab ussi raat meri train bhi thi wapas jaane ke liye… 4 AM morning… Sab l...